Saturday 4 February 2017

LIKHTA RAHUNGA BAAR BAAR ...

                                  LIKHTA RAHUNGA BAAR BAAR ...
                                        ( by : Aditya singh chouhan )

kab tak chupaata khud ko iss jahan mai .
 haan thugg gaya tha khud ko khudmai dhundte dhundte ,
 yahi bhi pta tha ki dhundlunga khud ko khudse ,
 par ab asaan nahi lagta yaha raastey .
sochta hu khud ko iss jahan se mitaadu par mil jaati thi ek umeed . 
par yah kesa raasta hai jahan mujhe duniya pehchaan hi nahi parahai .
hazaaro dard seh kar khud ko dhunda khudmai se .
phir ulajh gaya khud mai.
raastey ki parwaah nahi hai .
bechaani iss baat ki hai .
kab yah duniya mujhe pehchaanegi.
dard bhara hai dil mai .
par phir bhi likhta rahunga baar baar ,
nahi rukunga likhta rahunga ..
asaan nahi khud ko pehchaanna.
par itna bhi mat ho matlabi.
ki mujhe pehchaanne se inkaar krdo .
mat pehchaano mujhko ,
par mere kaam ko pehchaan lo
esehi nahi dard saha hai saalo se ,
jo phir ek baar iss dard ke raastey par khada kardiya ,
dusro se behtar hu itna maalum hai mujhe ,
thoda behtar mujhe yah duniya banade .
bas itna hi iraada lekr chala hu 
likhta rahunga baar baar .......

1 comment:

  1. The abaya for sale is a robe-like dress worn by Muslim women, resembling a simple, loose outer garment that goes from the chest to their feet. The sleeves are long, though the hands will remain exposed unless gloves are worn.

    ReplyDelete